Thursday, May 26, 2005

maa ka aanchal

jab bachpan main kabhi
jhagad kar apne sahbaalon se
daud ke ghar chala jaata tha
koi shararat kar ke jab main
apne aap ko ghira hua paata tha
tab main maa ke
us aanchal ko dhoondta tha
sochta tha ki maa mujhe bacha legi

daante gi, shayad maaregi bhi
lekin bacha legi
maa se maar kha sakta tha main
woh aakhir apni jo thi

aaj jeevan main main maa ka
woh aanchal fir talaash raha hoon
shayad ab main bahut bada ho gaya hoon
shayad bahut akela bhi
lekin chahta hoon ek nayi shuruaat
koi mujhe maa ki tarah maaf kar de
daante dapate, fir pyaar se maaf kar de

--
I am one hell of a guy, I can do anything I want, only I just don't have the
faintest idea what.

- Zaphod Beeblebrox, in The Hitch Hiker's Guide To The Galaxy

No comments: