Friday, June 12, 2009

Kya Haasil


kya haasil hai yun zinda rehkar
inteha ki ummeed baaki hai jo

khwaishon ko ummeed ki nazr kar
diwangi main mashroof hain hum

bemisaal hai is shehar ka manzar
har koi tanha is bheed main gum hai

dhoondta hun khud ko sare bazaar
jab ki bik chuka hai har ik zarra mera