Jab saanjh dhale
apni hasti mitane
dheere dheere se suraj raat ke aagosh main kho jaaye
tub tum yaad aate ho
zindagi ke is mod par
jab thak haar kar, choor hokar
apne aap ko dhoondta hoon
tum yaad aate ho
jab kabhi apne ko akela paa kar
kisi rahgir ki tarah manzil khojta hoon
manzil tak pahunchne ki chah ko dhoondta hoon
tum yaad aate ho
jab gairo ke beech apno ko dhoondta hoon
apno ke beech begano ko
aur begane bane apno ko dekhta hoon
tum yaad aate ho
jab kabhi apne ko apahij paa kar
ummedon ka gala ghotta hoon
apne aap ko samjhata hoon
tum yaad aate ho
tum koi bhi to nahin the
na saawan, na jheth, na ashad
bas ik sapna shayad, us sapne main jab khud ko dekhta hoon
tum yaad aate ho
yeh silsila khatm ho jaye
yeh bhi to nahin
maut ke aanchal main leta jaoon
woh bhi to nahin
naam tumhara na loon
aisa bhi to nahin
tum yaad na aao
mumkin hi nahin
is chakrvyuh main abhimanyu ki tarah jab jhoojhta hoon
tum yaad aate ho
insaan hoon koi farishta to nahin
waqt ko bhula doon
yeh rutba bhi nahin
jab waqt reh reh kar dastak deta hai
tum yaad aate ho
yeh aankehin tumhein dhoondti to nahin
yeh dil tumhare liye rota to nahin
par yeh dhadkan kuch kami zaroor mahsus karti hai jab
tum yaad aate ho
No comments:
Post a Comment