Kashtiyon se sagar cheera hai
bich majhdhar doob nahin sakte hum
apne pe bharosa rakho
aur kuch chintan karo
sab kuch abhi bhi tumhara hai
tumhara rahega agar chaho ge tum
bas apni nishtha banaye rakho
is registan se nikal jaoge tum
tumhara bhavishya ujala hai
ek baar yeh maan kar to dekho
aaj kranti ki pukar par
woh sab jo jhoote hain
unki lalkaar par
tum apne iraade bayan karo
kaho ki tum mit jao ge
lekin biko ge nahin
kaho ki swabhimaan zinda hai abhi
kaho ki saanso main josh hai
kaho ki dil main irada buland
aur nikal pado is dagar par
jo lejaayegi tumhein veero ke beech
sidhaant ko apna gehna samajh lena
aur satya ko apna mastak abhishek
asto ma sat gamaya
asto ma sat gamaya
No comments:
Post a Comment