Thursday, June 9, 2005

yeh hakikat to nahin

yeh hakikat to nahin
jo main bayan kar raha hoon
yeh deewanagi to nahin
jo main mehsoos kar raha hoon
yeh kaisi justzu hai
jiska koi nishkarsh nahin
ek apahij sa ho gaya hoon
aur baisakhian bhi aisi
ki unpar jhuk nahin sakta
is dwand main main mita ja raha hoon
lekin mitne ka mujhe gham bhi nahin

Sochta hoon ki yeh khwaab hai
abhi pau fatne par chetna aa jayegi
lekin is khwaab ko jee loon pehle
in dhadkano ko sune umr guzar gayi hai
unki dhadkan fir se sun loon
in aankhon ko intezaar nahin tha
intezaar main palkein jhapak loon fir se
woh awaaz jo madhosh sa kar jaati hai
madhosh hona bhool gaya tha main
us awaaz main kho kar fir madhosh ho jaoon
prarthna hai ki chetna na aaye
ya jab aaye to main na rahoon

yeh hakikat to nahin
lekin swarg ki anoobhooti lagti hai

--
Arise, awake and stop not, till the goal is achieved.

~Vivekanand

No comments: