Thursday, June 9, 2005

Aah ko chahiye

This is what Ghalib says.
Heis one of the best poets I have ever read

Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
 
Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
Kaun jeetaa hai terii zulf ke sar hone tak
 
Aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
Dil kaa kyaa rang karun Khuun-e-jigar hone tak
[sabr-talab=patient]
 
Ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge ham tumko Khabar hone tak
[taGaaful=neglect/ignore]
 
Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
Shamm'a har rang mein jaltii hai sahar hone tak
[juz=other than; marg=death]


--
Arise, awake and stop not, till the goal is achieved.

~Vivekanand

No comments: