Monday, June 20, 2005

ek gharonda ho

Us pahad ke pare
ek gharonda ho
jo ki taaron ki chaon main
chandni ko lapete hue
mujhe apni aur pukaare
aur ek thake hue yoddha ko
ek lamha ruk kar araam de

us pahad ke pare
ek gharonda ho
bahar ek bada peepul ka ped ho
us ped ki shakaon pe ek jhoola
jo ki hava ke jhaunko se hil raha ho
aur ek  lakdi ka jangla ho
jo ki prakriti ko bahar rakhe
prakriti ka ho kar bhi
aur us ghar ke baramde main
main baith kar kuch chain ki saans le sakoon

us pahad ke pare
ek gharonda ho

us gharonde main kuch yaadein hon
kuch logon ka aks ho
har deewar, har darwaaza koi dastaan kehta ho
har pag par main itihaas ke sammukh hoon
uther woh royi thi
ither usne mujhe daanta tha
uther woh jhagdi thi
abhi bhi uske hasne ki awaaz
aangan main maano goonj rahi ho
us ghar main chahe main akela hi hoon
lekin yeh ghar mujhe jeene dega
mujhe yaadon main jeene dega
woh mere jeevan naamak marusthal main
ek mrigyatrishna ki bhaanti upasthit hoga

us pahad ke pare
ek gharonda ho



--
In the end, it doesn't even matter........

No comments: