Thursday, October 20, 2005

Na main hota to kya hota

Remembered a couplet from Ghalib

Hua jab gham se yoon behis
to gham kya sar ke katne ka
na hota gar juda tan se
to zaanon par dhara hota


na tha kuch to khuda tha
kuch na hota to khuda hota
duboya mujh ko hone ne
na main hota to kya hota

hui muddat ki ghalib mar gaya
par yaad aata hai
tera har baat par kehna
ki yoon hota to kya hota

No comments: