Thursday, December 23, 2004

yoon na mujhko jhutla

Ik kalam mere paas hai
ik kalam tere paas bhi hai shayad
toon apni kalam se
muqqadar likhta hai shayad
main apni kalam se
shikayat darz karta hoon

Teri kalam main dum hai shayad
jo meri ilteza ko yoon nazar andaaz karta hai

toon kaisa khuda hai
ki toon yeh nahin jaanta
ki insaan chahta kya hai
toon kaisa khuda hai
ki sirf apni marzi bayan karta hai

Thak chuka hoon,
haar chuka hoon
ro chuka hoon,
teri dehleez par lekin,
toon maanta hi nahin
ki main bhi tera banda hoon

teri ibaadat ye sab kaafir karte hain
shayad nahin jaante ki toon kya hai

main jo tujhe dhoondne ki koshish karta hoon
to ek andhera sa chaaron taraf paata hoon
jab tujhe dhoondne ki koshish apne andar karta hoon
to hameshaan, sarvada khud hi ko paata hoon

kay toon mera pratibimb hai
kya main tera pratibimb hoon
ye sawal paa kar main
asmanjas main pad jaata hoon

yahi sochta hoon ki toon hai
to kahan hai..
agar hai to saamne aa
aur agar nahin hai to
yoon na mujhko jhutla
yoon na mujhko jhutla....

No comments: