Thursday, December 23, 2004

Doori

Tujhe dhoondne main mujhko
sadiyan guzar jayengi
yahi sochta hoon shayad
jo dhoondta nahin hoon

Teri ek Jhalak ki Tadap,
Deewana kar deti hai
Deewanapan kabool nahin abhi
tadap ko ghont deta hoon

yoon ki ek khat bhej rakha hai
jawaab aa jaye yeh intezaar bhi
lekin is dil main umeed nahin
bas ek rookhi si aah hai

Jawaab tera dekhne ko betaab to hoon
lekin ye betaabi
kahin jaan na le jaaye
isse darta hoon main

Bhula chuka hoon tujhe main
par ab bhi kahin dhoondta hoon
tera intezaar karna
accha lage hai mujhko

teri awaaz sunne ki khatir
dastak di thi dar par
toon jo pooch leti to yeh aas bhar jaati
toon nahin thi shayad ghar par
yeh naseeb apna hi hai

Toon door hi rehna jidhar hai
yeh doori jala rahi hai
lekin sailaab se bacha hoon
jo tere paas aate aaye

Pathron ke beech main bhi
patthar sa ho gaya hoon
darta hoon tere se saaye se
pathhar pighal na jaaye

No comments: