jis jagah ka koi naam-o-nishaan na ho
jis waqt ka koi hisaab na ho
jis lahu ka rang paani se halka ho
jis dil ka zakhm nasoor ho
jis pyar ka naam maut ho
us jagah par mera gharonda ho
us waqt ke kuch lamhe main jee loon
us lahu ko baha ke qurbaan ho jaoon
us zakhm ko main sanjo ke rakhoon
us pyar main main doob jaaon
zindagi bula raahi hai
apni hari baahein failaaye
mujhe uske aagosh main
gum ho jaana hai
uski saanso main
kho jaana hai
uski abhilashaaon ki
anubhooti karni hai
mujhe abhi jeena hai
bina mare.
jab tak main zinda hoon
--
Carry on oh hopeless mortal
try to live with hope of love
connive yourself into belief
collude yourself into yielding
No comments:
Post a Comment