Monday, March 19, 2007

Bhay ab nahin tha !

kuch oonche pahad
aur unpe chalte, dagmagate, hamare kadam
door se aati pani ki awaaj
aisa lagta ki nadi jharna ban beh rahi ho
aur manav use bandhne ki koshish main juta ho
is kolahal waale pani ke kinaare kinaare
chalta pahadon se apana rasta
 
Rasta kathin hai, aur mann vichilit hai
bhay kya hota hai jaan gaya hain mann
saath main jo hai, woh bahut hi priya hai
lautne ko mana karti hai woh
tum bhi maan jaate ho kush ho kar
bhay lekin ghar kar chuka hai
aur dimaag ab pag pag par darr raha hai
 
ab ek khai ko langhna hai
usper se jaata ek rassi ka pul hai
yeh sab kab hua nahin mallom mujhe
lekin use paani main girte dekha tha
aur phir uske peeche, agle hi pal main kooda tha
paani main pralya thi

No comments: