Door Kahin Pahadon se pare,
Ek Door se gaon main
peepul ki chaoon main
door waale kaune main
ek vridh baitha hai
woh akela hai
bahut akela...
Aisa nahin ki usne
zindagi dekhi hi nahin
jee chuak tha woh zindagi
Pachta raha tha woh zindagi
jaanta tha woh ki woh kya hai
is liye tha woh akela
bahut akela
Aaj apne saath kisi ko na paata tha
Bahut saari galtiyon ka ranjh bhari tha
apni hi aankhon main gir kar
apne gunahon ki sazaa paa raha tha
kayi jo uske sang the aaj alag the
ab bas yaadon ki kampan thi
is kampan ki jhunjhunanaht se
kahin door se aawaaz aa rahi thi
Woh akela hai
--
There are things known and things unknown
And in between lie the DOORS
No comments:
Post a Comment