Us shahar ki woh shaam yaad aati hai
us shaam main dhalte suraj ki kam pad rahi garmi
aur suraj se jhulsaayi hui jameen
jo ab aaram ki upeksha kar rahi thi
woh yaad aati hai
us tapish main ik umeed thi
raat ki umeed,
maano sari quamat ab bas araam chahti ho
suraj se tang aayi hawa ab suhani ban behna chahti
thi
sab jagah zindagi apne gupt thikano se nikal aayi
thi
us tapish main thande hone ka josh aaj yaad aata hai
shayad aaj wahi shaam ho
doosre kisi shahar main
shayad zindagi doobara panapne ke kagaar par ho
shayad insaan fir jeene ki talaash main ho
--
There are things known and things unknown
And in between lie the DOORS
No comments:
Post a Comment