Bahut din hue,
ek muddat beet gayi,
bahut door chod aya us jagah ko
Jahan tum kabhi basa karte the
lekin tumhari hasi ki goonj
aaj bhi mujhe dhoonde hai uther
tumhara ithlana, sajna, aitrana
bas yaadon main reh gaya hai
kuch dhundli, na bujhne waali yaadein.
Bahut din hue
ek muddat beet gayi.
Abhi bhi tumhari nam aankhon se
chalakta woh ek akela aansoo
us ansoo main chupi dastaan
mujhe dastak deti hai
pukaarti hai.....
lekin is pukaar main mayusi nahin hai
ek kashish hai
maano yeh ansoo
meri baat jo raha ho.
shayad yeh is tarah ankahe ansune girna nahin chahta
chahta hai ki main iska astittva sweekar karooon
bahut din hue
ek muddat beet gayi.
har ek pal jo tumhare saath bitaya
woh har lamha jo tumhari maujoodgi se bhara tha
tumhara tha, poori tarah se tumhara
un lamhon ka karz
tumhari aakhiri nazar ki tadap
tumhara peeche mud kar dobara na dekhna
us gumnaan shahar ko samay ki dhool main
hamenshaan ki liye dafn kar dena
yeh kuch karz reh gaye hain tumpar
bahut din hue
ek muddat beet gayi.
--
There are things known and things unknown
And in between lie the DOORS
No comments:
Post a Comment